kahne ko pur-sukun magar makhmase mein hun barson se main khudaya ajab marhale mein hun manzil hai mere aage main manzil ke ru-ba-ru phir bhi main chal raha hun abhi raste mein hun jhuti gawahiyon ki badaulat wo bach gaya sach bolta hua main abhi katghare mein hun sach baat kahna jab se shurua main ne kar diya tab se khada main jaise kisi karbale mein hun