kahne us shoKH se dil ka jo main ahwal gaya

kahne us shokh se dil ka jo main ahwal gaya
wan na tafsil gai pesh na ijmal gaya

dam-e-kakul se gila kya ye jo hai tair-e-dil
aap apne ye phansane ko par-o-baal gaya

dil-e-be-tab ki kya jaane hui kya surat
pichhe us shokh sitam-gar ke jo filhaal gaya

le gaya sath laga wo but-e-qatil ghar tak
ya use mar ke raste mein kahin dal gaya

khair wo haal hua ya ye hui shakl 'nazir'
kuchh tassuf na karo jaane do janjal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close