kahti hui ye mujhse hawa-e-sahar gai

kahti hui ye mujh se hawa-e-sahar gai
dasht-e-talab mein shabnam-e-ehsas mar gai

rakkha na tha qadam abhi dasht-e-sukut mein
aawaz meri apne hi sae se dar gai

main us ka nauha ban ke andhere mein ghul gaya
wo ek kiran jo mere liye dar-ba-dar gai

main likh raha tha phul ki patti pe tera nam
kante ki nok sina-e-gul mein utar gai

mahfil mein raat nit-nae chehron ke shor mein
wo kaun tha ki jis se lipatne nazar gai

jis se thi aabru-e-talatum wo mauj bhi
'khalid' kanar-e-khak pe sar rakh ke mar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close