kaise dil lagta haram mein daur-e-paimana na tha

kaise dil lagta haram mein daur-e-paimana na tha
is liye phir aae kabe se ki mai-khana na tha

tum ne dekhi hi nahin taqdir ki tarikiyan
ek andheri gor thi furqat mein kashana na tha

majma-e-bait-ul-haram ki dhum sunte the magar
ja ke jab dekha to un mein koi farzana na tha

hashr mein us shokh ka tarz-e-taghaful dekhna
mujh ko pahchana nahin haalanki begana na tha

hashr mein aakhir use bhi chhodte hi ban padi
khana-e-madfan bhi goya apna kashana na tha

aisi kya biti ki 'muztar' un buton par mar mita
jaan de deta wo kuchh aisa to diwana na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close