jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi

jis se ye tabiat badi mushkil se lagi thi
dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi

tanhai mein rote hain ki yun dil ko sukun ho
ye chot kisi sahab-e-mahfil se lagi thi

ai dil tere aashob ne phir hashr jagaya
bedard abhi aankh bhi mushkil se lagi thi

khilqat ka ajab haal tha us ku-e-sitam mein
sae ki tarah daman-e-qatil se lagi thi

utra bhi to kab dard ka chadhta hua dariya
jab kashti-e-jaan maut ke sahil se lagi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close