kaise kah deta koi kirdar chhoTa paD gaya

kaise kah deta koi kirdar chhota pad gaya
jab kahani mein likha akhbar chhota pad gaya

sadgi ka nur chehre se tapakta hai huzur
main ne dekha jauhari bazar chhota pad gaya

muskurahat le ke aaya tha wo sab ke waste
itni khushiyan aa gain ghar-bar chhota pad gaya

darjanon qisse-kahani khud hi chal kar aa gae
us se jab bhi main mila itwar chhota pad gaya

ek bharosa hi mera mujh se sada ladta raha
han ye sach hai us se main har bar chhota pad gaya

us ne to ehsas ke badle mein sab kuchh de diya
faede nuqsan ka bewpar chhota pad gaya

ghar mein kamre badh gae lekin jagah sab kho gai
buildingen unchi hui aur pyar chhota pad gaya

ganw ka bichhda koi rishta shahr mein jab mila
rupaya dollar ho ki dinar chhota pad gaya

mere sir par hath rakh kar mushkilen sab le gaya
ek dua ke samne har war chhota pad gaya

chahaton ki ungliyon ne us ka kandha chhu liya
sone chandi motiyon ka haar chhota pad gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close