kaise safar par nikla hun mud mud kar kya takta hun jaane phir kab lautunga sab se mil kar aaya hun ruth gai manzil kaisi galiyon galiyon bhatka hun koi mujh ko kyun gay dard bhara ek naghma hun kya hogi tabir meri ek muflis ka sapna hun zakhm tumhaari yaadon ke ab ashkon se dhota hun koi nahin mera sathi ek baadal aawara hun dekh mere dil mein aa kar jhuta hun ya sachcha hun 'arif' is dil ke hathon marta hun aur jita hun