kal raat kai KHwab-e-pareshan nazar aae

kal raat kai khwab-e-pareshan nazar aae
jo shahr ki aabaad the viran nazar aae

bikhri hui rondi hui lashon se guzar kar
tute hue minar-e-shahidan nazar aae

kohsar-e-himala ki jhalak khwab mein dekhi
ganga mein ubalte hue tufan nazar aae

pahle to kisi qarya-e-barbaad mein thahre
aage jo badhe gor-e-ghariban nazar aae

mahki hui ajdad ki khushbu se hawaen
har-gam pe aasar-e-azizan nazar aae

jis ghar mein farishton ki ziya thi usi ghar mein
arwah-e-khabisa ke charaghan nazar aae

jo matla-e-taqdis-e-mohabbat the wo chehre
khafagi ke sabab hum se gurezan nazar aae

hum jin ko dagha de ke kahin bhag gae the
wo ahl-e-haram ba-sar-e-uryan nazar aae

ek pir-e-muqaddas ka hayula nazar aaya
phir rish-e-safed-o-dur-e-dandan nazar aae

hum jin ki pareshani-e-khatir ka sabab the
wo aalam-e-ruya mein pareshan nazar aae

ek daman-e-ismat ki kiran dur se phuti
daman pe kai gauhar-e-ghaltan nazar aae

thi jis ke tabassum mein malaek ki halawat
sad-haif ki wo khwab mein giryan nazar aae

is shahr ko jo shakhs ke maulid ka sharaf ho
wo shakhs usi shahr mein mehman nazar aae

lab par hai 'rais' apne ye misra kai din se
kal raat kai khwab pareshan nazar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close