kal raat mere sath ajab hadisa hua

kal raat mere sath ajab hadisa hua
suraj pighal ke meri hatheli pe aa gira

dekhe hain meri aankhon ne manzar ajab ajab
ek ped mere shahr ka sayon ko kha gaya

sahra mein aab aur samundar mein ret hai
ya-rab main aaj kaun si duniya mein aa gaya

kaisa tamasha dekha tha hum ne ye raat bhar
tare chamak rahe the magar aasman na tha

rahzan to khud hi dar ke guphaon mein chhup gae
ab rah-rau ko lutta phirta hai rasta

in saaton ko subh kahen bhi to kis tarah
suraj uga hua tha andhera chhata na tha

baadal baras rahe hain musalsal magar 'khumar'
dariya tamam khushk hain jharnon ko kya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close