kal sham lab-e-baam jo wo jalwa-numa tha kis shauq se main dur khada dekh raha tha jab dost bhi dushman ka taraf-dar hua tha thanka tha usi din sar-e-mahfil mera matha gunja hua ek naghma sar-e-arz-o-sama tha naghma tha ki biti hui sadiyon ki sada tha bhuli nahin ujde hue gulshan ki bahaaren han yaad hain wo din ki hamara bhi khuda tha har barg se aati thi gul-o-lala ki khushbu har mauj-e-hawa mein nafas-e-yar ghula tha tasir-ba-daman thin jawani ki duaen har aah asar-khez thi har nala rasa tha jhapki thi zara aankh ki barham hui mahfil hum ne abhi kuchh un se kaha tha na suna tha jis baat ka izhaar tha izhaar-e-haqiqat dekha to usi baat pe hangama bapa tha wo darpai-e-azar hain ahbab mukhalif ye din bhi gharibon ke muqaddar mein likha tha kya dekh liya aaj ki ji soch raha hai ye waqia yunhi kabhi pahle bhi hua tha hum bazm se jaenge to ahbab kahenge ek shair-e-awara yahan naghma-sara tha begana-washi kam na hui aap ki us se har chand 'hamid' aap ka paband-e-wafa tha