kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahin diya dil ke kisi bhi zakhm ko bharne nahin diya sare hi mustafiz hue us ki zat se hum ko hi ek phal bhi shajar ne nahin diya murjha gai hai talkhi-e-haalat se magar kam hai ki hum ne yaad ko marne nahin diya jalta charagh-e-dil shab-e-hijran mein der tak mauqa magar numud-e-sahar ne nahin diya makhsus thi bas us ke liye dil ki guzar hum ne kisi ko yan se guzarne nahin diya hum par zamin ka ek sitara hai multafit rukh par ye nur shams-o-qamar ne nahin diya kuchh to charagh-e-zist ki lau bhi thi na-tawan aur kuchh hawa ne us ko ubharne nahin diya hum bhi the zindagi se gurezan tamam rah shane pe hath is ne bhi dharne nahin diya