kam se kam aarzi nahin hogi

kam se kam aarzi nahin hogi
maut itni buri nahin hogi

itni chhoti hai kaenat mujhe
khul ke aawargi nahin hogi

din mein jabr ko rawa rakhna
mazhabi khud-kushi nahin hogi

sab pe tanqis kar raha hai wo
us se ab shairi nahin hogi

hifz kar lunga main badan us ka
jeb mein diary nahin hogi

sab tamannaen puri karni hain
tu bata kaun si nahin hogi

sab ko sab kuchh milega jannat mein
bas wahan zindagi nahin hogi

ab jo chamkegi dekh kar us ko
bhuk wo jism ki nahin hogi

waqt mutthi mein hoga tab tere pas
hath par jab ghadi nahin hogi

kah diya nan wo mera mazi tha
is pe ab baat bhi nahin hogi

jhil ki dastan khatm hui
chand hoga pari nahin hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close