kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath

kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath
rabt lazim tha magar nargis-e-bimar ke sath

qimat-e-shauq badhi ek hi inkar ke sath
waqia kuchh to hua chashm-e-kharidar ke sath

har koi jaan bachane ke liye daud pada
kaun tha aakhir-e-dam qafila-salar ke sath

main tere khwab se aage bhi nikal sakta hun
dekh mujh ko na parakh waqt ki raftar ke sath

zulm se hath uthana nahin aata hai agar
kuchh riayat hi karo apne giraftar ke sath

qimat-e-husn-o-ada jaan ki bazi thahri
log aae the wahan dirham-o-dinar ke sath

had se badh kar bhi taghaful nahin achchha hota
kuchh talluq bhi to rakhte hain parastar ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close