kar-e-khulus-e-yar ka mujh ko yaqin aa gaya itna shadid war tha mujh ko yaqin aa gaya bas yunhi kuchh guman sa tha koi pas-e-sukhan bhi hai dar jo lab-kusha hua mujh ko yaqin aa gaya phir wo hawa ka qahqaha kan mein gunjne laga aur bhi ek diya bujha mujh ko yaqin aa gaya daera-war tha safar ishq-e-junun-sifat ka hijr-o-visal kuchh na tha mujh ko yaqin aa gaya ab mera dard bujh gaya ab mera zakhm bhar chala phir wahi dost aaega mujh ko yaqin aa gaya