kar gaya mere dil-o-jaan ko moattar koi

kar gaya mere dil-o-jaan ko moattar koi
chhu ke is tarah se guzra mujhe aksar koi

jitni nazren thin usi shakhs mein uljhi hui thin
ja raha tha sar-e-bazar sambhal kar koi

kaun sa hadisa guzra nahin us par is bar
aur wo hai ki shikayat nahin lab par koi

dil ko dil un ki nigahon ne banaya warna
aisa be-dard tha dil jaise ki patthar koi

chand taron pe nazar thahre to yun lagta hai
tere jaisa hai pas-e-parda-e-manzar koi

waqt thahra hua lagta tha sar-e-rahguzar
is tarah dekh raha tha mujhe mud kar koi

husn shirin mein bhi tha husn to azra mein bhi tha
na hua mere trahdar ka ham-sar koi

aaina apne muqaddar pe na kyun naz kare
mud ke ek bar use dekhe jo sanwar kar koi

kitne tufan chhupe hain tah-e-har-mauj 'bashir'
aaj ka daur hai ya jaise samundar koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close