kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujhko

kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujh ko
aaina kahta hai ab dil mein chhupa le mujh ko

main na dariya hun na sahil na safina na bhanwar
dawar-e-gham kisi sanche mein to dhaale mujh ko

ek tabassum ke ewaz hech nahin jins-e-wafa
hans ke jo baat kare apna bana le mujh ko

itna bharpur kahan tha mere gham ka izhaar
ajnabi lagte hain ab apne hi nale mujh ko

main wo gul hun jo mahakta hai sar-e-shakh-e-hayat
kyun koi apne gireban mein saja le mujh ko

jaane kis dasht ke kanton ne pukara hai 'jalil'
liye jate hain kahin panw ke chhaale mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close