karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha

karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha
na zindagi ki khushi hi achchhi na be-sabaati ka gham hi achchha

talash ki sai-e-raigan par nazar to aate hain gharq-e-hairat
sukhan-taraazi-e-rahnuma se sukut-e-naqsh-e-qadam hi achchha

ziya-e-nur-e-yaqin hai rahbar hayat ki tera wadiyon mein
bujha ke dekhen bujhane wale charagh-e-taq-e-haram hi achchha

talab ki azmat talab ki zahmat talab ka hasil talab ki lazzat
na khauf-e-sud-o-ziyan hi achchha na khatra-e-besh-o-kam hi achchha

maal kya hoga baghbano sukun-faramosh irtiqa ka
nazar bhi aane lagi chaman mein bahaar-e-bagh-e-iram hi achchha

mujhe usi par hai naz hamdam shikasta saghar ye hai to apna
kise sunata hai zikr-e-mazi bala se tha jam-e-jam hi achchha

hawas 'yaqub' nukta-chin kyun nazar hi to hai ye apni apni
nigah-e-zauq-e-buland mein hai sar-e-itaat ka kham hi achchha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close