karam-nawazo ne koshish hazar ki hai to kya mere nasib mein rahat nahin likhi hai to kya tawangari ho ki iflas chaar din ki hai ye zindagi hai to kya hai wo zindagi hai to kya abas hai fakhr suna kar fasana-e-aslaf wo shakl aaj nahin hai kabhi rahi hai to kya jab ek kar-e-numayan na kar sake koi to phir hazar baras ki bhi zindagi hai to kya karen hazar jatan rahbaran-e-rah-e-suluk faza hi dushman-e-iman-o-agahi hai to kya ganwa di daulat-e-uqba husul-e-duniya mein wahan ki khair manaen yahan sabhi hai to kya use shikastagi-e-dil pasand hai 'mahmud' shikastagi se na dariye shikastagi hai to kya