karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge

karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge
jo hogi umr bhar ki rah to dam bhar mein aawenge

agar hathon se us shirin-ada ke zabh honge hum
to sharbat ke se ghunt aab-e-dam-e-khanjar mein aawenge

yahi gar josh-e-girya hai to bah kar sath ashkon ke
hazaron para-e-dil mere chashm-e-tar mein aawenge

gar is qaid-e-bala se ab ki chhutenge to phir hargiz
na hum dam-e-fareb-e-shokh-e-ghaarat-gar mein aawenge

na jate garche mar jate jo hum malum kar jate
ki itna tang ja kar kucha-e-dilbar mein aawenge

gareban-chaak lakhon hath se us mehr-e-talat ke
ba-rang-e-subh-e-mahshar arsa-e-mahshar mein aawenge

jo sargardani apni tere diwane dikhaenge
to phir kya kya bagule dasht ke chakkar mein aawenge

'zafar' apna karishma gar dikhaya chashm-e-saqi ne
tamashe jam-e-jam ke sab nazar saghar mein aawenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close