kas-o-na-kas hain bahut dast-e-talab ke aage

kas-o-na-kas hain bahut dast-e-talab ke aage
sar-e-pindar jhuka jata hai sab ke aage

mujh se wabasta azal se hai yahi mauj-e-sarab
kab se main tishna-dahan hun tere lab ke aage

apne suraj ko bhala kis ke muqabil rakhiye
mand pad jate hain sab tab ke tab ke aage

aaj bhi hun main isi girya-e-shab mein mahsur
jin ko jaana tha wo sab ja chuke kab ke aage

bas isi waste raushan hai ye gham-khana-e-dil
ek sahar bhi hai kahin par meri shab ke aage

aur kya daulat-e-parwez milegi tujh ko
hech hain naqd-o-guhar sher-o-adab ke aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close