kaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se

kati hai gham ki raat bade ehtiram se
aksar bujha diya hai charaghon ko sham se

raushan hai apni bazm aur is ehtimam se
kuchh dil bhi jal raha hai charaghon ke nam se

muddat hui hai khun-e-tamanna kiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil ke jam se

subh-e-bahaar hum ko bulati rahi magar
hum khelte rahe kisi zulfon ki sham se

har sans par hai maut ka pahra laga hua
aahista ai hayat guzar is maqam se

kati tamam umr fareb-e-bahaar mein
kante samette rahe phulon ke nam se

ye aur baat hai ki 'ali' hum na sun sake
aawaz us ne di hai hamein har maqam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close