kaTi hai umr yahan ek ghar banane mein

kati hai umr yahan ek ghar banane mein
haya na aai tumhein bastiyan jalane mein

bana diya tha jahan ko khuda ne kun kah kar
karodon sal lage hain ise basane mein

fareb de ke tumhein kya sukun milta hai
hamein to lutf mila hai fareb khane mein

ata ho daulat-e-iman hamein bhi be-payan
kami nahin hai khudaya tere khazane mein

hawa ke madd-e-muqabil charagh rakh dena
mizaj-e-ishq raha hai ye har zamane mein

'atiq' ye hi dua hai ki rahti duniya tak
charag-e-ilm ho raushan gharib-khane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close