kaTi pahaD si shab intizar karte hue

kati pahad si shab intizar karte hue
hui tamam sahar aah-e-sard bharte hue

the us ke hath lahu mein hamare gharq magar
zara bhi sharm na aai use mukarte hue

hawa chali to pareshan hue shajar auraq
magar na the wo hamari tarah bikharte hue

kabhi udhar se jo guzren to yaad aata hai ye
ki us ko dekhta tha us rah se guzarte hue

hamesha soch mein duba hua wo hum ko mila
kabhi to dekhte 'farrukh' ko hum ubharte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close