kati patang ki manind dolte ho tum mujhe watan se nikale gae lage ho tum ye aur baat ki ab maslahat-shiar hue qarib mere bhi warna kabhi rahe ho tum koi rafiq na manzil na koi rakht-e-safar ye kis khumar mein kis samt ko chale ho tum fazaen us ki tumhein ab bhi yaad karti hain ki jis dayar mein kuchh din rahe base ho tum koi ummid na wada na hausla koi yaqin hi nahin aata chale gae ho tum tumhaare rup ka kundan bata raha hai hamein kisi ki aag mein ek umr tak jale ho tum sukun ka ek bhi lamha nahin nasib 'anwar' mera khayal hai mehwar se hat gae ho tum