kaTte hi Dor sans ki nam-o-numud KHak

katte hi dor sans ki nam-o-numud khak
hona hai ek roz ye qasr-e-wajud khak

tuta kisi ka dil jo gira dusri taraf
mizan mein pada tera rakht-e-sujud khak

tajsim kar raha hai wo dast-e-kamal se
aatish-parast dahriye muslim hunud khak

is mahfil-e-tarab mein nahin chashni koi
dil mein ramaq na ho agar bazm-e-surud khak

badhne lage hain chaar-su rasmon ke daere
thokar laga ke panw ki kar dun quyud khak

ye qaum un hi raston pe chal padi hai phir
jin par huin thin ek din aad-o-samud khak

sine mein koi aag hai 'arshad' lagi hui
warna hamari aankh se uthta ye dud khak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close