kaun hai ye matl-e-taKHill par mahtab sa

kaun hai ye matl-e-takhill par mahtab sa
meri rag rag mein bapa hone laga sailab sa

aag ki lapton mein hai lipta hua sara badan
haddiyon ki nalkiyon mein bhar gaya tezab sa

khwahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni
khinchti hai manzaron mein naqsha-e-asab sa

kis bulandi par uda jata hun bar-dosh-e-hawa
aasman bhi ab nazar aane laga payab sa

tairta hai zehn yun jaise faza mein kuchh nahin
aur dil sine mein hai ek mahi-e-be-ab sa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close