kaun kah sakta hai ab un ko KHata ke dhabbe

kaun kah sakta hai ab un ko khata ke dhabbe
ujli poshak mein phirte hain naha ke dhabbe

ab bhi karta hun wo makhmal si hatheli mahsus
ab bhi maujud hain daman pe hina ke dhabbe

gham ke sahra se nikal aae the shayad kuchh log
kitne chehron pe nazar aae hawa ke dhabbe

is tarah log to pahchan liye jate kuchh
kash mathon pe ubhar aaen dagha ke dhabbe

rog baqi na raha mar gae rogi bhi sab
rah gae aaj bhi daman pe dawa ke dhabbe

is liye apni khata dekh na pae tum bhi
dil ke shishe pe the 'afroz' ana ke dhabbe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close