kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya

kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya
dekhta bhaalta har shakh ko sayyaad aaya

mere qabu mein na pahron dil-e-nashad aaya
wo mera bhulne wala jo mujhe yaad aaya

koi bhula hua andaz-e-sitam yaad aaya
ki tabassum tujhe zalim dam-e-be-dad aaya

lae hain log janaze ki tarah mahshar mein
kis musibat se tera kushta-e-bedad aaya

jazb-e-wahshat tere qurban tera kya kahna
khinch ke rag rag mein mere nashtar-e-fassad aaya

us ke jalwe ko gharaz kaun-o-makan se kya tha
dad lene ke liye husn-e-khuda-dad aaya

bastiyon se yahi aawaz chali aati hai
jo kiya tu ne wo aage tere farhad aaya

dil-e-viran se raqibon ne muraden pain
kaam kis kis ke mera khirman-e-barbaad aaya

ishq ke aate hi munh par mere phuli hai basant
ho gaya zard ye shagird jab ustad aaya

ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna
jab mere hath koi khama-e-faulad aaya

id hai qatl mera ahl-e-tamasha ke liye
sab gale milne lage jab ki wo jallad aaya

chain karte hain wahan ranj uthane wale
kaam uqba mein hamara dil-e-nashad aaya

di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat
hae kam-bakht ko kis waqt khuda yaad aaya

mere nale ne sunai hai khari kis kis ko
munh farishton pe ye gustakh ye aazad aaya

gham-e-jawed ne di mujh ko mubarakbaadi
jab suna ye ki unhen shewa-e-bedad aaya

main tamanna-e-shahadat ka maza bhul gaya
aaj is shauq se arman se jallad aaya

shadiyana jo diya nala o shewan ne diya
jab mulaqat ko nashad ki nashad aaya

lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya

aap ki bazm mein sab kuchh hai magar 'dagh' nahin
hum ko wo khana-kharab aaj bahut yaad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close