kaun sa wo zakhm-e-dil tha jo tar-o-taza na tha zindagi mein itne gham the jin ka andaza na tha hum nikal sakte bhi to kyun kar hisar-e-zat se sirf diwaren hi diwaren thin darwaza na tha us ki aankhon se numayan thi mohabbat ki chamak us ke chehre par nai tahzib ka ghaza na tha itni shiddat se kabhi aaya na tha us ka khayal zakhm-e-dil pahle kabhi itna tar-o-taza na tha us ki har ek soch mein hai ek musalsal intishaar is tarah bikhra hua is dil ka shiraaza na tha dur kar dega zamane se mujhe mera khulus mujh ko apni is salahiyat ka andaza na tha 'arsh' un ki jhil si aankhon ka us mein kya qusur dubne walon ko gahrai ka andaza na tha