kaun se dil mein mohabbat nahin jaani teri jis ko sunta hun wo kahta hai kahani teri kuchh dahan hi nahin wahm-e-shoara ke nazdik mu se barik kamar bhi hai gumani teri jis ke aage se guzarta hai wo kahta hai yahi dekhi ai ruh-e-rawan hum ne rawani teri shisha-e-mai se koi meri zabani kah de khush nahin aati hai ye pamba-e-dahani teri kya teri shan hai qurban hon ai afw-e-karim aas rakhta hai har ek fasiq o zani teri is kharabi mein tere waste phirte hain kharab justuju hum ko hai ai kunj-e-nihani teri ain ehsan hai mere safha-e-dil par mujh ko ek taswir agar khinch de 'mani' teri subh tak sham se karti hai zaban zikr-e-jamal nind aati hai kise sun ke kahani teri misl-e-gul hans ke kisi roz tu dil ko khush kar khun rulati hai hamein ghuncha-dahani teri naz-o-andaz-o-ada mein hai taraqqi dah-chand fitna tifli thi qayamat hai jawani teri kaun se ghalla ka dana tu ai dana-e-khal hum ne arzani mein bhi pai girani teri garm-joshi se jalaya kare kashf o khirman barq ho sakti nahin shokhi mein sani teri jaan ki tarah se rakhta hai aziz ai gul-ru dagh-e-dil lala ne samjha hai nishani teri misra-e-tegh hai har misra-e-mauzun 'atish' dekh li yar meri saif-zabani teri