Khaal-e-ruKH usne dikhaya na dobara apna

khal-e-rukh us ne dikhaya na dobara apna
chande ek aur hai gardish mein sitara apna

dil o din wa khirad o sabr kuja ku aaram
ghar luta hum ne diya ishq mein sara apna

boli sayyaad se bulbul ki na kar gul se juda
takhta-e-bagh hai ye takht-e-hazara apna

sair ki hum ne jo kal mahfil-e-khamoshan ki
na to begana hi bola na pukara apna

misl-e-nai hum ne to fariyaad bahut ki lekin
koi hamdam na hua aah hamara apna

dil hua chah-e-zaqan hi mein ghariq-e-rahmat
is mein ghawwas-e-nazar garche utara apna

khul gaya uqda-e-hasti-o-adam misl-e-habab
lab-e-dariya pe hua jab ki guzara apna

pairahan us ko hua khilat-e-shahi ki 'nasir'
jis ne ye pairahan-e-khak utara apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close