KHabar kuchh nahin mujhko mera anjam kya hoga

khabar kuchh nahin mujh ko mera anjam kya hoga
wahi hoga jo hathon ki lakiron mein likha hoga

tamasha jo dikhana tha wahi sab ko dikha aae
nahin is se gharaz koi kisi ne kya kaha hoga

ek aisa waqt bhi aaega is daur-e-ta'alluq mein
hamare aur us ke darmiyan ek fasla hoga

abhi se dhup ki shiddat se khaif hain jahan wale
sawa-neze pe jis din aa gaya suraj to kya hoga

suno ab harf-giri ka nahin hai faeda kuchh bhi
ki jo tum ne kaha hoga wahi hum ne suna hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close