khabar nahin thi kisi ko kahan kahan koi hai har ek taraf se sada aa rahi thi yan koi hai yahin kahin pe koi shahr bas raha tha abhi talash kijiye is ka agar nishan koi hai jawar-e-qariya-e-girya se aa rahi thi sada mujhe yahan se nikale agar yahan koi hai talash kar rahe hain qabr se chhupane ko tere jahan mein hum sa bhi be-aman koi hai koi to hai jo dinon ko ghuma raha hai 'raza' pas-e-guman hi sahi par pas-e-jahan koi hai