KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha

khafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha
main tujh se pyar na karta to aur kya karta

thahar ke sun to sahi gham ki dubti aawaz
palat ke dekh to le manzar-e-shikast-e-wafa

tu khwab tha to mujhe nind se jagaya kyun
tu wahm tha to mere sath sath kyun na chala

kahan kahan liye phirta kashan kashan mujh ko
lipat gaya hai mere panw se mera saya

hawa chali hai ki talwar si chali hai abhi
lahu mein dub gaya shakh shakh ka chehra

damak uthi hain jabinen mere khayalon ki
lapak gaya hai kahin teri yaad ka shoala

kisi ko khwahish-e-dasht-e-wajud hi kab thi
suna fasana-e-hasti to phir raha na gaya

sunahri rut ke kisi nilgun tanazur mein
khat-e-ufuq pe wo pila gulab phir na khila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close