KHafa us se kyun tu meri jaan hai

khafa us se kyun tu meri jaan hai
'asar' to koi dam ka mehman hai

tere ahd mein sakht andher hai
ki ishq o hawas har do yaksan hai

kahun kya khuda jaanta hai sanam
mohabbat teri apna iman hai

dil-o-gham mein aur sina-o-dagh mein
rifaqat ka yan ahd-o-paiman hai

tujhe bhi kabhu kuchh mera hai khayal
mujhe marte marte tera dhyan hai

na dekha phir aakhir ki mushkil padi
udhar dekhna aisa aasan hai

qayamat yahi hai ki abru kaman
tujhe jin ne dekha so qurban hai

gulon ki tarah chaak ka ai bahaar
muhayya har ek yan gareban hai

bhala did kar lijiye muft hai
ki ab tak sitamgar wo anjaan hai

mujhe qatl karte to unen kya
par apne kiye par pasheman hai

nahin hai ye qatil taghaful ka waqt
khabar le ki baqi abhi jaan hai

tammul kahan warna chun ghuncha yan
jo sar hai so gharq-e-gareban hai

ye kya ho gaya dekhte dekhte
'asar' main to main wo bhi hairan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close