KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar

khak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar
mujh ko in chand sitaron mein nazar-band na kar

ek hi bar chhalak jaane de paimana mera
lamha lamha mujhe aazurda-o-khursand na kar

tujh ko pahchan len ya tujh ko khuda kah baithen
apne diwanon ko itna bhi khirad-mand na kar

shahr-e-dilli to amanat hai mere purkhon ki
is ko be-rang-o-sada misl-e-samarqand na kar

wahima ho to kabhi harf-e-yaqin tak pahunche
kuchh na ho jab to hikayat qalam-band na kar

ishq aasan hai magar rog hai diwanon ka
bar-e-gham yunhi bahut hai use do-chand na kar

kya khabar kab ye utar jae ragon mein 'nami'
zahr ko zahr hi rahne de ise qand na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close