KHak mein lipTi kahani aur hai

khak mein lipti kahani aur hai
rang lekin aasmani aur hai

kal talak wo bantti khushbu rahi
ab hawa ki chhed-khani aur hai

dhup ke sahra mein chal kar dekhna
aablon ki shadmani aur hai

chintiyon se phir mera wada hua
ek koshish aazmani aur hai

raat ke ghar mein bada kohram tha
subh ki ab be-zabani aur hai

titliyon ko thi saba ki justuju
gulistan mein hukmarani aur hai

konplen izn-e-safar ki muntazir
zard patton mein kahani aur hai

mehrban phulon pe lagti thi hawa
bahte pani ki rawani aur hai

han nadamat tujh ko honi chahiye
haif 'jafar' pani pani aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close