KHak ne apna tasallut tha jamaya jis dam

khak ne apna tasallut tha jamaya jis dam
main ne aflak ko sochon se uthaya jis dam

mere atraf bhi kohram ka baadal barsa
main ne ek shakhs ko kuchh der hi socha jis dam

rabta tut ke hairani talak aa pahuncha
ek apna mera aghyar mein baitha jis dam

waqt to aan hi pahuncha tha tere wasl ka bhi
silsila sans ka us ruh se tuta jis dam

meri aawaz mere pas palat aai thi
main ne tanhai mein apnon ko pukara jis dam

ro pada ped kisi dard ki lai ko le kar
ek parinde ne hari shakh ko nocha jis dam

dil mera kosta rahta hai usi pal ko 'huma'
ek patthar se bane but ko tha puja jis dam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close