KHala ke dasht se ab rishta apna qata karun

khala ke dasht se ab rishta apna qata karun
safar tawil hai behtar hai ghar ko laut chalun

buland hota hai jab jab bhi shor nalon ka
khayal aata hai dil mein ki main bhi chikh padun

tumhaare hote hue log kyun bhatakte hain
kahin pe khizr nazar aae to sawal karun

maal jo bhi ho jis tarah bhi kate ye umr
tumhaare naz uthaun tumhaare ranj sahun

adhuri an-kahi be-rabt dastan-e-hayat
lahu se likh nahin sakta to aansuon se likhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close