KHamir mera uTha wafa se

khamir mera utha wafa se
wajud mera faqat haya se

kuchh aur bojhal hua mera dil
ghuti hui dard ki faza se

baras pade hasraton ke baadal
nazar pe chhai hui ghata se

hai wahshaton ka safar musalsal
badha junun hijr ki saza se

hatheliyon par na rach saki wo
jo nam likkha tera hina se

bana gai tum ko aur chanchal
jhuki jo meri nazar haya se

gulon pe ek be-khudi si chhai
chaman mein bahki hui saba se

hai wajd kyun shakh-e-gul pe tari
lipat ke jhumi wo kyun hawa se

mahak ki kirnen chaman mein raqsan
gulab ki reshmi qaba se

kali ko chuma gulon ko nocha
kisi ne simab si ada se

hai to masiha to kar mudawa
hai soch zakhmi teri jafa se

wahi ada be-niyaziyon ki
to kaam kab tak na lun ana se

yaqin kaise karun main 'bano'
sukun kya de saken dilase


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close