KHamosh is tarah se na jal kar dhuan uTha

khamosh is tarah se na jal kar dhuan utha
ai shama kuchh to bol kabhi to zaban utha

but ban ke chupke fitne na yun meri jaan utha
munh mein agar zaban hai to lutf-e-zaban utha

hai koson dur manzil-e-anjam-e-guftugu
tezi ke sath apne qadam ai zaban utha

dar hai yahi ki kashti-e-mazmun na dub jae
rah rah ke itni maujen na bahr-e-zaban utha

ab daur mein hai rindon ke paimana-e-kalam
phir aa gai bahaar phir abr-e-zaban utha

kar is qadar na zauq-e-takallum ko sharmsar
apna sar-e-niyaz kabhi to zaban utha

kahta hai 'qadr' dekh ke tere sukut ko
kuchh faeda kalam se bhi ai zaban utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close