KHamoshi ke dar-parda mahsus kiya

khamoshi ke dar-parda mahsus kiya
teri aankhon ko apna jasus kiya

hum par to ek ishq ki aafat utri thi
diwar-o-dar ko kis ne manhus kiya

chaukhat par baitha hai kis khamoshi se
darwaze ko dastak ne manus kiya

tere hijr ka chaqu yun to kari tha
lekin zakhmon ne kitna mayus kiya

tu ne khat mein phul bana kar bheja tha
main ne muddat khushbu ko mahsus kiya

khwab ke sikke kitne kam hain kase mein
nind ko kis ne is had tak kanjus kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close