KHandgi KHush lab tabassum misl-e-arman ho gae

khandgi khush lab tabassum misl-e-arman ho gae
ahd-e-be-gham jun hi aaya hum pareshan ho gae

aage thi hum ko qarabat shab se shab ko hum se thi
un ko thi khalwat se raghbat hum shabistan ho gae

hae ye ijz-o-niyaz-e-mai-kashan bhi kam nahin
aah kya bhar li ki hum khak-e-gulistan ho gae

kya teri mahfil ki hai ye irtijali ai khuda
sans ki fursat na di aur ahd-o-paiman ho gae

kya karen shikwa teri be-eatidali se raqib
wo bulae bhi na aae aap mehman ho gae

yaad hai hum ko junun-e-la-fana ki laghzishen
hum mein thi maujen kabhi ab dasht-e-viran ho gae

rakh liya saqi ne meri khastagi ka ye bharam
shaikh ki majlis mein hum pasti ka saman ho gae

tere kakul ki daraazi ho ki zulfon ka sitam
hum ne aankhen un se mundin bhi to zindan ho gae

teri qamat par fida ho kya ki lab par iftikhar
teri angusht-e-hinai par hi qurban ho gae

aah wo baaligh tera mashhur fahwa-e-kalam
bulbulon ne hum ko dekha kal to hairan ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close