KHas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi

khas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi
chamak uthun main gham-e-ab-dar aae koi

meri nazar mein chamakte hain garm-o-sard jahan
main jaanch lunga zar-e-kam-ayar aae koi

hai zakhm zakhm badan sang-e-harf-e-talkh se aaj
kahin se narmi-e-lab ki phuwar aae koi

main jal gaya dil-e-viran ki khushk wadi mein
faraaz-e-dard se phir aabshaar aae koi

ye dasht-e-tishna-labi chhod kar main kyun jaun
mere liye to yahin ju-e-bar aae koi

hai zoam-e-shoala to dekhe hawa-e-dard ka zor
charagh hai to sar-e-rahguzar aae koi

ek aur bhi hai jahan is jahan-e-jabr se dur
majal hai to wahan shahryar aae koi

ghanim-e-shab ko main zakhmon se chur kar aaya
sahar ka aakhiri neza bhi mar aae koi

thahar gae hain kahan mere ham-safar 'shahin'
khada hun der se jangal ke par aae koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close