KHayal-e-tark ulfat ham-nashino aa hi jata hai

khayal-e-tark-e-ulfat ham-nashino aa hi jata hai
wafur-e-be-dili mein aadmi ghabra hi jata hai

tabahi ki ghadi shayad zamane par nahin aai
abhi apne kiye par aadmi sharma hi jata hai

nigah-e-dost ke aage sipar lana hai la-hasil
ye tir-e-nim-kash qalb o jigar barma hi jata hai

nazar aata nahin jis ko hujum-e-shauq mein kuchh bhi
fareb-e-rahnuma aksar wo rah-rau kha hi jata hai

nahin narmak-khirami karwan ki be-sabab 'kausar'
khamoshi se jo uthta hai wo baadal chha hi jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close