khayal-e-yar jab aata hai betabana aata hai ki jaise shama ki jaanib koi parwana aata hai tasawwur is tarah aata hai tera mahfil-e-dil mein mere hathon mein jaise khud ba-khud-paimana aata hai khirad walo khabar bhi hai kabhi aisa bhi hota hai junun ki justuju mein aap hi virana aata hai kabhi qasd-e-haram ko jab qadam apna uthata hun mere har ek qadam par ek naya but-khana aata hai dar-e-jaanan se aata hun to log aapas mein kahte hain faqir aata hai aur ba-shaukat-e-shahana aata hai dakan ki hir se 'azad' koi ja ke ye kah de ki ranjhe ke watan se aaj ek diwana aata hai wahi zikr-e-dakan hai aur wahi furqat ki baaten hain tujhe 'azad' koi aur bhi afsana aata hai