KHayal-o-KHwab ke sab rang bhar ke dekhte hain

khayal-o-khwab ke sab rang bhar ke dekhte hain
hum us ki yaad ko taswir kar ke dekhte hain

jahan jahan hain zamin par qadam-nishan us ke
har us jagah ko sitare utar ke dekhte hain

hawa hai tez sambhaalega in mein kitnon ko
shajar ka hausla patte shajar ke dekhte hain

use bhi shauq hai kuchh dhajjiyan udane ka
kuchh apni wusaten hum bhi bikhar ke dekhte hain

idhar ke sukh ne to hijrat pe kar diya majbur
udhar hai kya chalo dariya utar ke dekhte hain

gae the chhod ke hum jis jagah makan apna
nishan bas ab wahan diwar-o-dar ke dekhte hain

na yun mita sake shayad hamein jo wo dildar
hai sang-dil to sar-e-sang ubhar ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close