khel donon ka chale tin ka dana na pade sidhiyan aati rahen sanp ka khana na pade dekh meamar parinde bhi rahen ghar bhi bane naqsha aisa ho koi ped girana na pade mere honton pe kisi lams ki khwahish hai shadid aisa kuchh kar mujhe cigarette ko jalana na pade is talluq se nikalne ka koi rasta de is pahadi pe bhi barud lagana na pade nam ki tarsil se aankhon ki hararat kam ho sard-khanon mein koi khwab purana na pade rabt ki khair hai bas teri ana bach jae is tarah ja ki tujhe laut ke aana na pade hijr aisa ho ki chehre pe nazar aa jae zakhm aisa ho ki dikh jae dikhana na pade