khet se bach kar guzre basti ko virani de

khet se bach kar guzre basti ko virani de
wo dariya kya dariya jo sagar ko pani de

sher suna koi aisa jis se lage badan mein aag
nind ud jae jis se aisi koi kahani de

sukh rahe hain bagh-baghiche nahren ret huin
ai mausam ke malik ek mausam barani de

khud banwae mahal do-mahle hum ko sunae hadis
khud to pahne aba qaba hum ko uryani de

tod gai dam aakhir pyasi raat amawas ki
pyare suraj ab to apne chand ko pani de

kaun sunega tera qissa rone-dhone ka
laila majnun shamil kar koi raja rani de

ab tak tum ne 'baqar' aise kaun se kaam kiye
kis ummid pe malik tum ko nai jawani de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close