khil uThe phul mahak mujhko hawa se aai

khil uthe phul mahak mujh ko hawa se aai
abr ke rup mein bilqis saba se aai

kan ke sath khuli aankh ki putli lekin
koi taswir ubhar ke na sada se aai

reg-e-sahil ki tab-o-tab ki dushman thahri
lahr jo bhi pas-e-diwar-e-hawa se aai

daimi kar liya us ko ki sar-e-arsa-e-shab
dil ko jo saat-e-gham dene dilase aai

jo tamanna kabhi aai na thi lab par 'khalid'
aaj khun ho ke rahi dida-e-wa se aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close